सोमवार, 27 जुलाई 2009

My second day on blog...

kabhi-kabhi mehsoos hota hai jaise zindagi bhagati hi chali ja rahi hai.Band Mutthi se phisalti ret ki tarah... pichhe mud kar dekho to lagta hai jaise kal ki hi baat ho. Jo kuchha beet chuka hai, wo sab kuchha yahi kahi thahar gaya sa lagta hai. lekin..., akhir sach to yahi hai, ki, waqt har pal guzar raha hai aur isi sach ke sath har pal ko jeena hi samjhdaari hai. kal nag-panchmi thi, aj Sawan maah ka third monday hai. shukra hai bhagwan ka, ki mere shahar mei abhi bhi maati se jude in teej-tyohar ki khushboo baki hai, warna bade kahe jane wale (?) shaharo mei to din-raat ke siwa bhahut kuccha pata hi nahi chalta.Jo bhi ho sawan ke pure maheene mei baba vishwanath ki nagari KASHI ki chhata hi nirali hoti hai aur iis baat ko wahi samajh sakta hai, jisne sawaan mei kashi ko karib se dekha ho.

see you all again !

कोई टिप्पणी नहीं:

अवसाद के भय से जूझता मध्यमवर्ग !

शायद आपको पता हो कि भारतीय समाज में पाया जाता है एक 'मध्यमवर्गीय तबका'। उच्च वर्ग की तरह  कई पीढ़ियों के जीवनयापन की चिंताओं से मुक...